Affiliate Marketing Kya He Aur Aap Kese Paise Kama Sakte Ho

Affiliate Marketing Se Paise Kese Kamaye

Affiliate Marketing Kya He

एफिलिएट मार्केटिंग क्या है और आप कैसे पैसे कमा सकते हैं. To aap ne shayd blog bana liya hoga ya fir blog banane ka man to jarur bana liya hoga. Aap mehnant karenge blog banane me to lazmi he ke aap ye bhi sochenge k ab hum paise kese kamaye apne blog se. Blog banane ka ek maksad paisa kamana hota he. Kuch log sirf shokh ke liye bhi blog likhte he. Ab jab apne blog bana liya he ya fir banana chahate he to aap hamara blogging kya he wala article padh sakte he. Kafi achi jankari di he humne usme. To blog banane ke baad apne blog ko monetize ya fir paise kamane kai tarike he par main(मुख्य) 2 tarike he.

  1. Google Adsense
  2. Affiliate Marketing

Agar apko google adsense ke bare me jan na he to aap humara Google Adsense kya he Aur us se Paise Kese Kamaye wala article bhi padh sakte he. Yaha hum sirf Affiliate Marketing ke bare me hi baat karenge. To agar affiliate marketing ko agar example ke sath simple bhasha me samje to me kahunga ke aap ne google pe search kiya ke “best formal shoes under 1000 Rs“. Ab kuch is tarah ke results aapke samne aynege.

Blog Screenshots google search result

Ab jo results apke samne ayenge unme se kisi ek par aap click karenge. Amazon.in ko chhod de to dusre result par aap jaye. Amazon.in ko chhodne ka reason he ke wo ek online shopping website he blog nahi he. Aap amazon par sell kar ke bhi online paise kama sakte he. Uske liye aap ko online selling ke bare jan na chahiye. Filhal hum affiliate marketing ke bare me samajte he. To ab aap kisi blog par click karenge to kuch is tarah ka blog apke samne open hoga.

best formal shoes under 1000

kuch is tarh usme alag alag products dikhai denge

best formal shoes under 10001

Ab jab apke is blog ko padhne ke liye koi vyakti ayega aur apki products ke bare me likhi gai jankariya us vyakti ko pasand ayengi o ho sakta he wo vyakti us product ko kharidna chahe. To agar jese hi wo vyakti us product par click karega to sidha product ke page par chala jayega us website par jiska apne affiliate programme join kiya hua he. Aur agar wo vyakti us product ko kharid leta he to aap asani se 10-12 % ya is se kam ya jyada commision bana lenge. Affiliate marketing kafi acha tarika he online paisa kamane ke liye.

Affiliate Market Konse He Aur Kese Karte He

Flipkart Affiliate Sample

Aaj kal pura internet affiliate market se bhara hua he. Bade business apne products jyada bechne ke liye affiliate market ka istemaal karte he. Un ke pass product hote he aur blog likhne walo ke pass audience hoti he jo ke bade business ka product kharid sakti he. To bas aap (BLOGGER) bade business aur customer ko jodne ka kaam karte he. Har feild me aap ko affiliate market mil jayenge. Agar aap fashion category pe likhte he to amazon ya flipkart jese bade online shopping website mil jayenge unke products affiliate market karne ke liye.

Agar aap travel experience pe likhte he to aap ko MakeMyTrip aur yatra jese business mil jaynge affiliate marketing ke liye. Takriban har category me apko business mil jayenge jinke products aap apne blog par affiliate kar sakte he aur acha commision kama sakte he. Agar aap affiliate network ke bare me jyada jan na chahte he jese ki konse konse bade aur ache affilaite network he to aap hamari Konse Konse Affilaite Programme He India Me ye jarur padhni chahiye.

Apko sirf unke affiliate programme join kar ke products select karne hote he. Aur bas apne website par unke baare me likhna hota he. Aap product ka reviwe likh sakte he agar apne khud us product ko kahrida ho to. Ya aap usepehel se use karte ho. AAp compare karne ka article bhi likh sakte he 2 products ke bare me. Dono ki khubiya (खुबिया) aur kamiya(कमिया) aap apni audience ko bata sakte he apne article me. Ha, par dhyan rakhe jyada commission ke chakkar me kharab products ko affiliate na kare kabhi bhi. Hamesha pehle research kare ache products ho to hi apne audience ko suggest kare.

Blog Ke alava kese Paise Kamaye Affiliate Marketing Se

Agar apke pass blog nahi he to ?? To chinta ki baat nahi aap fir bhi paise kama sakte he affiliate marketing se. Aap fir bhi affiliate marketing kar sakte he. Aap apne facebook, whatsapp par affiliate products ki link share kar sakte he. Jab bhi koi apki link se product purchase karta he to apko commision milegi.

Aap pehle jo bhi products affiliate marketing se bechna chahte he use select kare. Product selection me ek cheez hamesha yaad rakhe ke jo apka niche(निष्) ho usi se hi juda hua product aap affiliate market kare. Jese ki apka blog agar fashion se juda hua he to aap us par mobile se jude hue products ko affiliate market na kare. Shoes ke blog par mobile cover products market karne se apko jyada commision nahi milegi.

Agar aap whatsapp se affiliate market karna chahte he to simple aap jo bhi products aap select kare unki images apne whatsapp group me share kare aur use kharidne ke liy koi kahe to apna affiliate link share kar de. Wo agar apke link se purchase karta he to apko commision mil jayega. Yahi same cheez aap facebook par bhi kar sakte he. Apne friends followers ke sath images share kare product ka apna affiliate link share kare. Product ki sale hogi to apko commision milega.

Affiliate Marketing Kyu Jaruri He AAp Ke Blog Ke Liye

Online Ghar Bethe Paise Kamaye

Agar aap apne mehanant se create kiye hue blog se paisa kamana chahte ho to affiliate marketing bohot jaruri he. Apne blog se paisa kamane ka sabse acha tarika he ke aap apne blog par affiliate marketing jarur kare. Jyada na sahi par kuch ache products ki affiliate marketing kare.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *